Sunday, April 21, 2013

Poem - Yeh duniya

Yeh Duniya agar mil bhi jaye toh kya hai?
Yeh Duniya agar mil na paye toh kya hai?
Yeh bemano ki, gaddaro ki duniya.
Yeh bebasi ki, lachari ki duniya.
Yeh paiso ki duniya hai bikta hai insaan bhi yaha hai.
Yeh thagne walo ki duniya, yeh juthi hai duniya.

Yeh duniya agar mit bhi jaye toh kya hai.
Yeh duniya agar kuch ban jaye bhi toh kya hai?

Yeh bujte chirago si duniya, yeh jalti masalo ki duniya.
O re duniya, wah ri duniya.

Ghirake sambhale jo koi.
Wahi agge dubade kahi.
Yeh haseen chehro ke piche,
Matlabiyo ki duniya.
Yeh insano ke bhes mein
Bhediyo ki duniya.

Yeh bheed me kahi khatam hoti duniya.
Yeh gulcharo me, dhuye me udti duniya, sharabo ke rango me rangi yeh duniya.

Yeh duniya agar mil bhi jaye toh kya hai
Yeh duniya agar mil na paye toh kya hai

Kahi roshni dikhi thi, magar chingariyo se jali thi yeh duniya.

Jo janma yaha har koi roya. Pa ke bhi sab kuch, sab kuch hai khoya.

Yeh duniya agar mil bhi jaye toh kya hai
Yeh duniya agar mil na paye toh kya hai?

Written by Me. (Navneet Singh Chauhan).

Inspired from move Gulaal song - o re duniya.

Thursday, April 18, 2013

Quote on Life is a Race

If Life is a Race you may Run or sit and relax with me watching everyone Run. And bet on who wins and enjoy the race. - Navneet Singh Chauhan