Hindi Poem "Yeh Duniya"
Yeh reeti riwaj ki duniya. Yeh mitte sanskaro ki duniya.
Yeh bheed me tanhai ki duniya.
Yeh kagajo ki kastiyo ki duniya
Yeh jalte khwabo ki duniya.
Yeh bhaeti sheetal hawao ki duniya.
Yeh garm ret ke thapedo ki duniya.
Yeh jeet ke jashn ki duniya, yeh harti insaniyat ki duniya.
Yeh pyaar ki duniya, yeh tanhai ki duniya.
Yeh makano me ghar talasti duniya.
Yeh kalabazari ki duniya.
Yeh jism ki bhuki duniya, yeh aatma me parmatma talasti duniya.
Yeh bhook se tadapti duniya, yeh mehfil me rang badalti duniya.
Yeh peekar jhoomti duniya, yeh pani ko tarasti duniya.
Kisiki yaado me kat jati tanhai ki duniya.
Sath reh kar bhi ladti jagadti duniya.
Yeh khushi ki chikchariyo ki duniya... yeh aansuo se sani gamo ki duniya.
Yeh karwat badalti 'hansi aur gum' ki duniya. Har rang se rangi hai yeh berang duniya.
- Navneet Singh Chauhan.